• Hindi Lyrics
  • Y
  • Yeh zameen aur sab kuch isme, hai khuda ka Lyrics / यह ज़मीन और सब कुछ इसमे, है खुदा का

    Yeh zameen aur sab kuch isme, hai khuda ka Lyrics | यह ज़मीन और सब कुछ इसमे, है खुदा का | Hindi Christian Song Lyrics

    Yeh zameen aur sab kuch isme, hai khuda ka-2
    Saari duniya saara aalam, hai Khuda ka-2

    Usne buniyad hai rakhi, Paaniyon par is jaahan ki
    Usne toofanon pe qayam kar diya hai is zameen ko
    Uske parbat pe chare kaun, Uske makdis mein khada kaun
    Haath honge Paak Jiske, aur dil saaf ho jiska

    Phatako Unche ho jaao, baadshah aane waala hai
    Woh hai kaavi who hai qaamir, zorawar aane waala hai
    Lashkaron ka jo hai khuda, Aur jalaal ka jo hai baadshah
    Haan wahi hai aanewala

    यह ज़मीन और सब कुछ इसमे, है खुदा का-2
    सारी दुनिया सारा आलम, है खुदा का-2

    उसने बुनियाद है रखी, पानियों पर इस जाहान की
    उसने तूफ़ानों पे क़ायम कर दिया है इस ज़मीन को
    उसके परबत पे चारे कौन, उसके मकदीस में खड़ा कौन
    हाथ होंगे पाक जिसके, और दिल सॉफ हो जिसका

    फाटको उँचे हो जाओ, बादशाह आने वाला है
    वो है कावी हू है क़ामिर, ज़ोरवार आने वाला है
    लश्कारों का जो है खुदा, और जलाल का जो है बादशाह
    हन वही है आनेवाला

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    1 mins