• Hindi Lyrics
  • M
  • Mohabbat Khuda ki dikhaane ke liye Lyrics / मुहब्बत ख़ुदा कि दिखाने के लिये

    Mohabbat Khuda ki dikhaane ke liye Lyrics | मुहब्बत ख़ुदा कि दिखाने के लिये | Hindi Christian Song Lyrics

    Mohabbat Khuda ki dikhaane ke liye
    saleeb par chadh gaya Yeshu
    pehna kaanton ka tha taaj
    ki bach jaaye gunehgaar
    Yeshu ne dee saleeb par apnee jaan
    Yeshu ne dee saleeb par
    apnee jaan apnee jaan
    Yeshu ne dee saleeb par apnee jaan
    ki bach jaoon main badkaar
    paoon shifa main laachaar
    Yeshu ne dee saleeb par apnee jaan

    Yeh sach hai ki Yeshu gunehgaaron ke liye
    apna qeemtee khoon bahaane aaya tha
    usne khaee kodon kee maar
    ki bach jaaye gunehgaar
    Yeshu ne dee saleeb par apnee jaan

    Kroos par se utaar kar use dafan kar diya
    aur kabr par baitha diya pehraa
    Yeshu fatehmand hai aaj
    kyonki maut kee huee haar
    Yeshu phir ab jalaal mein aayega
    Yeshu phir ab jalaal mein aayega aayega
    Yeshu phir ab jalaal mein aayega
    dekho Yeshu ka piyaar
    aur ho jao tum taiyaar
    Yeshu phir ab jalaal mein aayega

    मुहब्बत ख़ुदा कि दिखाने के लिये
    सलीब पर चढ़ गया यीशु
    पहना काँटों का था ताज
    कि बच जाये गुनहगार
    यीशु ने दी सलीब पर अपनी जान
    यीशु ने दी सलीब पर
    अपनी जान अपनी जान
    यीशु ने दी सलीब पर अपनी जान
    कि बच जाऊँ मैं बदकार
    पाऊँ शिफ़ा मैं लाचार
    यीशु ने दी सलीब पर अपनी जान

    यह सच है कि यीशु गुनहगारों के लिये
    अपना क़ीमती ख़ून बहाने आया था
    उसने खाई कोड़ों की मार
    कि बच जाये गुनहगार
    यीशु ने दी सलीब पर अपनी जान

    क्रूस पर से उतार कर उसे दफ़न कर दिया
    और कब्र पर बैठा दिया पहरा
    यीशु फ़तहमन्द है आज
    क्योंकि मौत की हुई हार
    यीशु फिर अब जलाल में आयेगा
    यीशु फिर अब जलाल में आयेगा आयेगा
    यीशु फिर अब जलाल में आयेगा
    देखो यीशु का प्यार
    और हो जाओ तुम तैयार
    यीशु फिर अब जलाल में आयेगा

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    1 mins