Menu Close

Ab shaam ke waqt khudaavanda / अब शाम के वक़्त खुदावन्दा

Ab shaam ke waqt khudaavanda Lyrics | अब शाम के वक़्त खुदावन्दा | Hindi Christian Song Lyrics

Ab shaam ke waqt khudaavanda,
shukr ho din ki barakat ka;
tu ae baadashaahon ke baadashaah,
is raat main meri ho panaah

Maseeh kee khaatir, ae gaphoor,
baqsh de tu mere sab kusur ;
tab bojh se main faraagat pa,
be khaufo-khatar sounga

Tu maut ke khauf ko dafa kar,
ki gor ko samajhoon main bistar;
aur jaise uthate subah ko,
meri qayamat vaisi ho

Rakh meri jaan ko apane saath,
rakh sote waqt bhi mujh par haath;
ki neend se nai taaqat pa,
main taaja dam ho jaunga

Jo nind na aaye aaj ki raat,
to dil mein daal aasamaani baat;
bad-khwaabi aur kharaabi se,
aur khataron se panaah tu de

Sab rehmaton ke baani ko,
sab makhaluqaat se sana ho;
kaho aasamaan ki Fauz sharif,
baap, bete, rooh ki ho taarif
Aameen

अब शाम के वक़्त खुदावन्दा,
शुक्र हो दिन की बरकत का;
तू ऐ बादशाहों के बादशाह,
इस रात में मेरी हो पनाह ।

मसीह की खातिर, ऐ गफूर,
बक़्श दे तू मेरे सब कुसूर ;
तब बोझ से मैं फ़राग़त पा,
बे ख़ौफ़ो-ख़तर सोउंगा ।

तू मौत के ख़ौफ़ को दफ़ा कर,
कि गोर को समझूं मैं बिस्तर;
और जैसे उठते सुबह को,
मेरी क़यामत वैसी हो ।

रख मेरी जान को अपने साथ,
रख सोते वक़्त भी मुझ पर हाथ;
की नींद से नई ताक़त पा,
मैं ताजा दम हो जाउंगा ।

जो नींद ना आये आज की रात,
तो दिल में डाल आसमानी बात;
बद-ख्वाबी और ख़राबी से,
और खतरों से पनाह तू दे ।

सब रेहमतों के बानी को,
सब मख़लूक़ात से सना हो;
कहो आसमान की फौज शरीफ,
बाप, बेटे, रूह की हो तारीफ़ ।
आमीन।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *