• H
  • Hindi Lyrics
  • Hum aae hain ibaadat ko Lyrics / हम आए हैं इबादत को

    Hum aae hain ibaadat ko Lyrics | हम आए हैं इबादत को | Hindi Christian Song Lyrics

    Hum aae hain ibaadat ko
    ai rabb hamaare beech mein ho
    too bandgee par barakat de
    ki hove ruh aur raastee se

    Hamaare dil mein ulphat bhar
    aur apnee taraf rujoo kar
    duniyaabee khyaalon se bacha
    aur apnee baaton par laga

    Qalaam jab parha jaave tab
    taaseer too us kee de ai rabb
    ki apne kaan se sunen jo
    hum dil se maane usee ko

    Geet gaane mein jab hon mashgool
    hamaara gaana ho maqbool
    jab sunen vaaz kee baaton ko
    hamaare dil par asar ho

    Jab waqt ho dua maangne ka
    too sun hamaaree ai Khuda
    shukrgujaaree sun too le
    gunaah hamaare muaf kar de

    Too ho hamaare darmiyaan
    too de hum sabhon ko imaan
    daal apnee rooh kalisiya par
    aur sabke dil aasooda kar

    हम आए हैं इबादत को
    ऐ रब्ब हमारे बीच में हो
    तू बंदगी पर बरकत दे
    कि होवे रुह और रास्ती से

    हमारे दिल में उल्फत भर
    और अपनी तरफ रुजू कर
    दुनियाबी ख़्यालों से बचा
    और अपनी बातों पर लगा

    क़लाम जब पढ़ा जावे तब
    तासीर तू उस की दे ऐ रब्ब
    कि अपने कान से सुनें जो
    हम दिल से माने उसी को

    गीत गाने में जब हों मशगूल
    हमारा गाना हो मक़बूल
    जब सुनें वाज़ की बातों को
    हमारे दिल पर असर हो

    जब वक्त हो दुआ मांगने का
    तू सुन हमारी ऐ खुदा
    शुक्रगुजारी सुन तू ले
    गुनाह हमारे माफ़ कर दे

    तू हो हमारे दरमियान
    तू दे हम सभों को ईमान
    डाल अपनी रूह कलीसिया पर
    और सबके दिल आसूदा कर

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    1 mins