• Hindi Lyrics
  • Z
  • Zindagee mein tum par jab ho sakht toofaan Lyrics / ज़िन्दगी में तुम पर जब हो सख़्त तूफ़ान

    Zindagee mein tum par jab ho sakht toofaan Lyrics | ज़िन्दगी में तुम पर जब हो सख़्त तूफ़ान | Hindi Christian Song Lyrics

    Zindagee mein tum par jab ho sakht toofaan
    aur jab tum ho be-dil ki sab hai nuksaan
    gino saaree barqat gino naam-ba-naam
    aur hairaan tum hoge dekh kar rabb ke kaam

    Barqat gino-gino naam-ba-naam
    barqat gino dekh Khuda ke kaam
    barqat gino-gino naam-ba-naam
    aur hairaan tum hoge dekh kar rabb ke kaam

    Fikar ka jab tum par hove bojh muheeb
    aur jab tum ko maaloom hove sakht saleeb
    gino be-hadd barqat shaqq sab hogen door
    aur tum geeten gaakar rahoge masaroor

    Auro ka jab dekhte ho zameen o zar
    tum ko hai masih kee daulat saraasar
    gino be-hadd barqat keemtee be-bayaan
    ajar kya jalaalee aur jaleel makaan

    So is jang mein har waqt rakho yaad sada
    himmat tum na haarna sab par hai khuda
    saaree barqat gino hain farishte paas
    safar bhar ve dete himmat raahat khaas

    ज़िन्दगी में तुम पर जब हो सख़्त तूफ़ान
    और जब तुम हो बे-दिल कि सब है नुकसान
    गिनो सारी बरक़त गिनो नाम-ब-नाम
    और हैरान तुम होगे देख कर रब्ब के काम

    बरक़त गिनो-गिनो नाम-ब-नाम
    बरक़त गिनो देख ख़ुदा के काम
    बरक़त गिनो-गिनो नाम-ब-नाम
    और हैरान तुम होगे देख कर रब्ब के काम

    फ़िकर का जब तुम पर होवे बोझ मुहीब
    और जब तुम को मालूम होवे सख़्त सलीब
    गिनो बे-हद्द बरक़त शक़्क़ सब होगें दूर
    और तुम गीतें गाकर रहोगे मसरूर

    औरो का जब देखते हो ज़मीन ओ ज़र
    तुम को है मसीह की दौलत सरासर
    गिनो बे-हद्द बरक़त कीमती बे-बयान
    अजर क्या जलाली और जलील मकान

    सो इस जंग में हर वक़्त रखो याद सदा
    हिम्मत तुम न हारना सब पर है ख़ुदा
    सारी बरक़त गिनो हैं फ़रिश्ते पास
    सफ़र भर वे देते हिम्मत राहत ख़ास

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    1 mins