• Hindi Lyrics
  • Y
  • Yeshu bulaata hai sun uskee baat Lyrics / यीशु बुलाता है सुन उसकी बात

    Yeshu bulaata hai sun uskee baat Lyrics | यीशु बुलाता है सुन उसकी बात | Hindi Christian Song Lyrics

    Yeshu bulaata hai sun uskee baat
    deree na kar deree na kar
    aa too haleemee se le ab najaat
    too hoga paaq saraasar

    Khush ho is aan
    khush ho is aan
    Yeshu munaajjee mein
    khush ho aur reh too shaadmaan

    Apane gunaahon ka kar too iqaraar
    deree na kar deree na kar
    saadiq aur qaim hai voh vafaadaar
    tera voh hai fidaakaar

    Phir na gunaahon ka hoga hisaab
    kar too yaqeen kar too yaqeen
    door huye saare shaitaanee ajaab
    khushee ab hai bartareen

    Tum ko voh deta aasmaanee miraas
    khushee se lo khushee se lo
    bakhshta hai raastee ka tum ko libaas
    byaah ke ghar mein daakhil ho

    यीशु बुलाता है सुन उसकी बात
    देरी न कर देरी न कर
    आ तू हलीमी से ले अब नजात
    तू होगा पाक़ सरासर

    ख़ुश हो इस आन
    ख़ुश हो इस आन
    यीशु मुनाज्जी में
    ख़ुश हो और रह तू शादमान

    अपने गुनाहों का कर तू इक़रार
    देरी न कर देरी न कर
    सादिक़ और क़ाइम है वह वफ़ादार
    तेरा वह है फ़िदाकार

    फिर न गुनाहों का होगा हिसाब
    कर तू यक़ीन कर तू यक़ीन
    दूर हुये सारे शैतानी अजाब
    ख़ुशी अब है बरतरीन

    तुम को वह देता आसमानी मिरास
    खुशी से लो खुशी से लो
    बख़्शता है रास्ती का तुम को लिबास
    ब्याह के घर में दाखिल हो

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    1 mins